Computer Introduction

Machine Or Icky Naqais

Machine Ki Tareef:

Subse Pehly Main Apse Ic Silsily main ek Aam sawal pochna chahonga. wo ye k donya ki sub se Behtareen Machine Kon C hai...?

Zaheer Hai Aap k Zehan Main Dorust Jawab Agaya hoga . Tou Aaye Ub Hum Machine Ki Tareef Karty Hain..

Ek Ya Ek Se Zaid   Systamo (Systems) Ko Ic Andaz main Baheem Martoob (Inter Linked) Karna Ta k Har System Apne apne Dairah Kar K Andar rehty hovy kisi Makhsoos (Particular) Kaam Ko Ehsan Tareeky Se Ser Injam Dy. Ic k montakee Injam tuk Phonchany main ek Dosry ka mamdo Mauoon sabit ho saky.

Misal k tour per insani jisam ko he lee Jiye . k Nazam-E- Tanafoos , Mazam-E- Khoon , Nazam-E-Hazma or Fehamo Frast waghera ko Haddyo k ek Khol main baheem maboot (Inter Linked) kar diya jata hai tou Donya ki Behtareen Machine Maarzz-O- Wajood main Aati hai. jis ko banany wala wahid La shareek hai.

ub Chonkky ic machine yani Jisam Insane ne Donya main har Qisam ki Banny wali be jaan Machino k liye ek Bonyad Farahim ki hai Ic liye ice ko Bonyad bana kar or ice ki misaal de kar main Aap k Zehan main ye Haqiqat Uja gar karne ki koshish koronga Jub kisi machine main koi kharabi peda ho jaye tou ek achhy mechanic Ya Engineer ko kin Bonyadi Naqta ko Madde Nazar Rakhna Chahaye Ta k Motalaka Machine main Naqiees ki Nishan dahi kum wakt or Dorust tour per ki jasaky. ub Aaye Nakaiees ko Dhondnay k Tareeky Per Ghor Karty hain..

تبصرے